Monday, September 17, 2012

Gita Ek Madhyam Hai

Gita maatra ek maadhyam hai jo sansaar ke raag ras se vairaagya me pahunchaa kar us paar kii or ishaaraa dete huye kahataa hai .....
Dekh jahaan too thaa
Dekh jise too chhodnaa nahii chaahata thaa
Dekh wah sab bhii isii se isii me hai aur yah ------
Tb bhii thaa , ab bhii hai aur tb bhii rahegaa jb iske alawaa aur kuchh n hogaa .
Sansaar ke chakaachaundh se poorn soonyata tk kaa maarg talavaar kii dhaar par chalane kaa nam hai aur aise yaatri durlabh hoye hain .
Kyaa aap taiyaar hain is yaatra ke liye jiskaa praarambh yo hsi lekin ant anant hoo ho sakta hai ?
**** OM ****


Friday, September 14, 2012

Sansaar kya hai ?

Manushya ke liye param kaa dwaar hai aur anya ise bhog saagar kii bhanti dekhate hain .
Manushya jb raag se vairaagya me kadam rakhata hai tb ......
Use param ka dwaar dikhane lagata hai jo ......
Swaprakaashit hota hai .
Gita - 15.1 - 15.4 , 15.6

Wednesday, September 12, 2012

Aatmaa

Gita ke tiin sutra : ------
Sutra - 13.29
Prakriti ko kartaa evam Aatmaa ko akartaa dekhanaa hii yathaarth hai .
Sutra - 18.16
Gyaani Aatmaa ko akarta dekhataa hai .
Sutra - 15.11
Yogi apane andar Aatmaa ka bodhi hota hai .
::::::: OM ::::::::

Tuesday, September 11, 2012

Gita ki ek amrit boond

Niraakaar ki upaasanaa prabhumay banati hai aur saakaar upaasak ananyabhakti yog me pahunch kar paramgati ko praakt karate hain
------  Om ------

Followers